Dulhe Ka Sehra (Mp3 Quality) Song - Dhadkan

  Singer: Nusrat Fateh Ali Khan, Music: Nadeem Shravan, Lyrics: Sameer, Artist: Akshay Kumar, Shilpa ShettyLyrics
shehnaiyo kee sada keh rahee hai
khushee kee mubarak ghadee aa gayee hai
sajee surkh jodee me chand see dulhan
jamin peh falak se paree aa gayee hai

dulhe kaa sehra suhana lagta hai
dulhan kaa toh dil divana lagta hai

palbhar me kaise badalte hain rishte
abb toh har apna begana lagta hai

dulhe kaa sehra suhana lagta hai
dulhan kaa toh dil divana lagta hai

sat phero se bandha janmo kaa yeh bandhan
pyar se joda hai rab ne prit kaa daman

hain nayee rasme nayee kasme nayee uljhan
honth hai khamosh lekin keh rahee dhadkan

dhadkan dhadkan dhadkan dhadkan
.......

mushkil ashko ko chhupana lagta hai
dulhan kaa toh dil divana lagta hai
palbhar me kaise badalte hain rishte
abb toh har apna begana lagta hai

dulhe kaa sehra suhana lagta hai
dulhan kaa toh dil divana lagta hai

mai teree baho ke jhule me palee babul
ja rahee hu chhodke teree galee babul

mai teree baho ke jhule me palee babul
ja rahee hu chhodke teree galee babul

khubsurat yeh jamane yad aayenge
chahke bhee ham tumhe naa bhul payenge
muskhil mushkil mushkil
daman ko churana lagta hai
dulhan kaa toh dil divana lagta hai

mushkil daman ko churana lagta hai
dulhan kaa toh dil divana lagta hai
palbhar me kaise badalte hain rishte
abb toh har apna begana lagta hai

dulhe kaa sehra suhana lagta hai
dulhan kaa toh dil divana lagta hai

dhadkan dhadkan dhadkan dhadkan
.......

Share :

Facebook Twitter Google+
Back To Top

statcounter

adnow top

adnow

Powered by Blogger.